Dil Hai Ke Manta Nahin Lyrics

Dil Hai Ke Manta Nahin Lyrics

Kumar Sanu, Anuradha Paudwal

Faaiz Anwar

Dil Hai Ke Manta Nahin1991Updated 11.10.2026

Dil Hai Ke Manta Nahin Lyrics from the classic Bollywood movie Dil Hai Ke Manta Nahin are penned by Faaiz Anwar and beautifully sung by Kumar Sanu and Anuradha Paudwal. The music is composed by the iconic duo Nadeem-Shravan, making this song a memorable romantic track from the film.

Dil Hai Ke Manta Nahin Lyrics

Dil hai ke manta nahin
Dil hai ke manta nahin
Mushqil badi hai rasm-e-mohabbat
Yeh jaanta hi nahin
Oh dil hai ke manta nahin
Dil hai ke manta nahin

Yeh bekarari kyun ho rahi hai
Yeh jaanta hi nahin
Oh dil hai ke manta nahin
Dil hai ke manta nahin

Dil to yeh chaahein har pal tumhein hum
Bas yuhi dekha karein
Marke bhi hum na tumse judaa ho
Aao kucch aisa karein

Mujhme samaa jaa, aa paas aa jaa
Humdum mere humnashi
Dil hai ke manta nahin
Dil hai ke manta nahin

Hum to mohabbat karte hain tumse
Humko hai bas itni khabar
Tanha hamara mushqil tha jeena
Tum jo na milte agar
Betab saansein, bechain aankhein
Kehne lagi bas yahi

Dil hai ke manta nahin
Dil hai ke manta nahin
Yeh bekarari kyun ho rahi hai
Yeh jaanta hi nahin
Oh dil hai ke manta nahin
Dil hai ke manta nahin